O saathi re, tere bina bhi kya jina - Remix


O saathi re, tere bina bhi kya jina - Remix
Lyrics
O saathi re, tere bina bhi kya jina
phuulon mein kaliyon mein, sapno ki galiyon mein
tere bina kuchh kahin na
tere bina bhi kya jina

O sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
Har dhadakan mein pyaas hai teri
saanson mein teri khushabu hai
Is dharati se us ambar tak, merii nazar mein tu hi tu hai
Pyaar ye tute na ...
Pyaar ye tute na, tu mujhse ruthe na, saath ye chhute kabhi na
Tere bina bhi kya jiina
O saathii re ...
tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina

Tujh bin jogan meri raatein, tujh bin mere din banjaare
Mera jeevan jalti dhuni, bujhe-bujhe mere sapne saare
Tere bina meri
Tere bina meri, mere bina teri, ye zindagi zindagi na...
Tere bina bhi kya jina
O saathii re...
tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina

Main Shayar To Nahin - Bobby


Main Shayar To Nahin - Bobby - Rishi Kapoor, Dimple Kapadia, Aruna Irani
Lyrics
Main shaayar to nahin
(Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi) - 2
Main aashiq to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko aashiqui aa gayi
Main shaayar to nahin
(Pyaar ka naam maine suna tha magar
Pyaar kya hai, yeh mujhko nahin thi khabar) - 2
Main to uljha raha uljhanon ki tarha
Doston mein raha dushmanon ki tarha
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko dosti aa gayi
Main shaayar to nahin
(Sochta hoon agar main dua maangta
Haath apne uthaakar main kya maangta) - 2
Jab se tujhse mohabbat main karne laga
Tab se jaise ibaadat main karne laga
Main kaafir to nahin
Main kaafir to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko bandagi aa gayi
Main shaayar to nahin, magar ae haseen
Jab se dekha maine tujhko
Mujhko shaayari aa gayi
Main shaayar to nahin